kuchh ek main hi nahin tera jaan-e-jaan mushtaq hai teri did ka muddat se ek jahan mushtaq sagan-e-kucha-e-dilbar ka ai huma kab se hai jism mein mere har ek ustukhwan mushtaq tum ishtiyaq mein us ko pada hi rahne do tumhaara chhod ke dar jawe ye kahan mushtaq khuda ke waste rukh se naqab ko ulto ki kar rahe hain bahut der se fughan mushtaq haram mein dair mein dasht-o-chaman mein milte nahin karen talash batao tumhein kahan mushtaq kunen jhukao na un ko zara dikhao jamal tumhaara ghairat-e-yusuf hai karwan mushtaq dikhaoge tum agar kakul-e-musalsal ko hamare panw ki howengi bediyan mushtaq rawish pe bagh mein tan ke to chal zara lab-e-ju hui hain sarw-e-rawan teri qumriyan mushtaq ishaaron se hai tere abru-o-mizha ke ayan shikar ke liye hain tir aur kaman mushtaq dil-e-visal mein ho kyon na intizar-e-firaq bahaar ki bhi sada rahti hai khizan mushtaq hamara sar tere 'khanjar' ke war ka qatil hai aarzu-e-shahadat mein har-zaman mushtaq