kuchh etimad ka lahja bhi fikr-o-fan se mila

kuchh e'timad ka lahja bhi fikr-o-fan se mila
ye silsila to mujhe 'mir' ke sukhan se mila

bikhar bikhar ke main simta hun ek markaz par
ye hausla to mujhe tere husn-e-zan se mila

ajib taur se tu ne sada lagai thi
bas ek karb-e-musalsal tere sukhan se mila

tera khayal mujhe dastaken to deta tha
tera pata mujhe khushbu-e-pairahan se mila

main bujh gaya tha sawad-e-dayar-e-zulmat mein
charagh-e-rah to ummid ki kiran se mila

bhatak raha tha 'majidi' shab-e-judai mein
charagh-e-zist mujhe husn-e-gul-badan se mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close