ghurur-e-husn-o-jafa us ka sab shunida tha

ghurur-e-husn-o-jafa us ka sab shunida tha
magar wo samne aaya to aabdida tha

chatan ki tarah sang-lakh thi zamin sari
magar wo akhwa tah-e-sang nau-damida tha

wo shab ki shab mere har pyar ka jawab raha
sahar hui to wahi shakhs kuchh kashida tha

mujhe qubul ki tha be-hisab us ka karam
use bhi ilm ki daman mera darida tha

libas tan pe tha khun-gashta-e-ana dil tha
wo ab bhi zinda to tha hae sar-burida tha

ghamon ke sath mohabbat ke kitne pechan the
ghamon ka sath magar dast-e-na-rasida tha

wo eatibar-e-hunar sath kyon liye phirta
ki us ki jholi mein har lafz na-chashida tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close