kuchh gham-e-zist ke aalam abhi baqi hain

kuchh gham-e-zist ke aalam abhi baqi hain
zindagi tere liye kaam abhi baqi hain

jin se wabasta hai shohrat tere mai-khane ki
aise tute hue kuchh jam abhi baqi hain

shab ki tariki ne duniya ki bahaaren lutin
aashna-e-sahar-o-sham abhi baqi hain

hum ne sayyaad ko gulshan se nikala hai magar
chaar-su phaile hue dam abhi baqi hain

khar gulshan se nikale gae lekin wo gul
jin se gulshan hua badnam abhi baqi hain

kab idhar utthegi tu ai nigah-e-shauq bata
kitne paigham tere nam abhi baqi hain

ruk gaya aa ke kahan rah-e-talab mein 'anjum'
pae-manzil tere do-gam abhi baqi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close