mahw-e-hairat hun ki aaKHir ye tamasha kya hai

mahw-e-hairat hun ki aakhir ye tamasha kya hai
subh khud puchh rahi hai ki ujala kya hai

is badalti hui duniya ka bharosa kya hai
sab isi fikr mein baithe hain ki hota kya hai

be-amal ho to samajhiye ki hai be-sud hayat
jis ka maqsad na ho wo jina bhi jina kya hai

puchhta hai ye charaghon mein lahu jal jal kar
talkhi-e-daur bata de teri mansha kya hai

meri aankhon se zara dil mein utar kar dekho
log kahte hain jise ishq wo hota kya hai

hech hai is ke liye daulat-e-duniya 'anjum'
kash insan samajh le mera rutba kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close