kuchh had bhi ai falak sitam-e-na-rawa ki hai har sans dastan tere jaur-o-jafa ki hai hajat-rawa ki aur na zarurat dua ki hai ab chhod chaarasaz jo marzi khuda ki hai daman-e-zabt chaak to kar de junun magar tauhin ye mere dil-e-gham-ashna ki hai khun-e-hayat khun-e-tarab khun-e-arzu ye sharah-e-mukhtasar meri umr-e-wafa ki hai ghairat ne meri khud hi safina dubo diya dekha nazar phiri hui kuchh nakhuda ki hai barbaadiyon se dars-e-baqa le rahi hun main ye sunnat-e-kuhan shah-e-karb-o-bala ki hai irfan-e-gham se nafs ka irfan hua nasib sidhi ye pahli marifat-e-kibriya ki hai hum se khizan-nasib qafas mein bhi shad hain lai jo bu-e-gul ye inayat saba ki hai khuddariyon ne zist ko aasan bana diya betabiyon ki khu hai na aah-o-baka ki hai mana ki tujh ko aish ki jannat nasib hai tahqir-e-gham na kar ki ye neamat khuda ki hai is zindagi ne sath kisi ka nahin diya kis bewafa se tujh ko tamanna wafa ki hai kashti ko meri maujon se pahuncha nahin guzar minnat-gudaz ye karam-e-nakhuda ki hai 'makhfi' panah-e-chadar-e-zehra na chhodna talim-e-nau suna hai ki dushman haya ki hai