mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat meri hayat hai ek tishna khwab ki surat hawao dil ki taraf ehtiyat se jaana wajud amn ka hai qaem hubab ki surat malamaten gham-o-alam fikr mayusi ye zindagi hai shikasta kitab ki surat khud apni kargasi fitrat se ho gae ruswa wagarna tum bhi uthe the uqab ki surat kabhi falak to samundar kabhi utha laya pasand donon ko hai aaftab ki surat shaguftagi ki jagah jhurriyon ne le li hai hamara chehra tha 'ajiz' gulab ki surat