kuchh hasinon ki mohabbat bhi buri hoti hai kuchh ye be-chain tabiat bhi buri hoti hai jite-ji mere na aae to na aae ab aao kya shahidon ki ziyarat bhi buri hoti hai aap ki zid ne mujhe aur pilai hazrat shaikh-ji itni nasihat bhi buri hoti hai us ne dil manga to inkar ka pahlu na mila khana-barbaad murawwat bhi buri hoti hai ai 'hasan' aap kahan aur kahan bazm-e-sharab pir-o-murshid buri sohbat bhi buri hoti hai