mere marne se tum ko fikr ai dildar kaisi hai tumhaari dil-lagi ko mahfil-e-aghyar kaisi hai hamare ghar se jaana muskura kar phir ye farmana tumhein meri qasam dekho meri raftar kaisi hai wo mujh se puchhte hain ghair se aur tum se kyun bigdi zara hum bhi sunen aapas mein ye takrar kaisi hai maaz-allah barq-e-husn kis ki aankhen uthne de tamashai nahin waqif ki shakl-e-yar kaisi hai 'hasan' jam-e-mai-e-gul-rang le kar sochte kya ho agar qimat nahin qimat mein ye dastar kaisi hai