kuchh hina se nahin hai us kaf-e-pa ki khubi balki hai us kaf-e-pa hi se hina ki khubi zeb-tan us ke hui ye hai qaba ki khubi nikhat-e-zulf ka lana hai saba ki khubi misl-e-aina ke zahir mein safa hain to kya ahl-e-alam mein hai baatin ki safa ki khubi ustukhwan-reza pe karta hai qanaat jo wo us se hai sare tuyuron mein huma ki khubi jaanwar hai na ho insan mein gar sharm-o-haya kyon hai insan mein faqat sharm-o-haya ki khubi khubi-e-ahl-e-duwal daulat-o-hashmat se nahin mutawaze ho yahi hai umara ki khubi sehat-o-afiyat-o-farhat-e-rizq-o-iman aish bakhshi tujhe hai sab ye khuda ki khubi