kuchh humse zulmat-e-shab-e-hijran na puchhiye

kuchh hum se zulmat-e-shab-e-hijran na puchhiye
zakhmi dilon se dard ka unwan na puchhiye

ye naz ye ghurur ye shoala-sifat mizaj
kis khak se bana hai ye insan na puchhiye

hai mausam-e-khizan ka tasallut har ek su
kaise manaen jashn-e-bahaaran na puchhiye

aaina le ke dekhiye khud apne surkh lab
hota hai kaisa lal-e-badakhshan na puchhiye

kya hun kahan hun kuchh bhi nahin hai mujhe khabar
bas aalam-e-tasawwur-e-jaanan na puchhiye

jo aashna-e-raaz-e-gul-o-yasman na ho
us be-khabar se haal-e-gulistan na puchhiye

kaba gaya kalisa gaya mai-kada gaya
us bewafa ki did ka arman na puchhiye

'anjum' nashat-o-aish mein guzri meri hayat
ab mujh se mera haal-e-pareshan na puchhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close