kyon faqat bigde hue haalat ka charcha karen aao hum kuchh dahr mein behtar karen achchha karen khud tahi-daman sahi lekin unhen ai yar-e-man qimti afkar mein taula karen napa karen aaiye chaliye hamare ghar zara sun lijiye haq bhi kahne ke liye is daur mein parda karen dhup ki shiddat pe ho tanqid jaez hai magar jaur hain sae mein kah do wo zara nikla karen sab ki mutthi mein agar taqdir un ki hai to phir kyon gile shikwe karen hum kyon ye wawaila karen tirgi hi tirgi manzil-ba-manzil dur tak muskura den wo tabiat se zara aisa karen hum ne jo chaha kiya jo chahenge hoga yunhi dekhne wale hamein dekha karen dekha karen