kuchh is ada se bazm mein wo jalwa-gar hai aaj aalam ye hai ki dil hi raqib-e-nazar hai aaj allah re husn-e-yar ki ye sehr-kariyan har shai meri nazar mein fareb-e-nazar hai aaj zauq-e-numud-e-shauq ka allah re irtiqa teri nazar mein meri tapish jalwa-gar hai aaj husn-e-bahaar nawak-e-mizhgan ke main nisar kaisa hara-bhara mera zakhm-e-jigar hai aaj kyon kar rahe ho jalwa-gah-e-am ki talash manzur kya ihanat-e-ahl-e-nazar hai aaj