gardish-e-chashm-e-mast se dil ko lubha gaya koi

gardish-e-chashm-e-mast se dil ko lubha gaya koi
aql pe mujh ko naz tha wo bhi mita gaya koi

dil ko tabassum-e-nazar apna dikha gaya koi
daman-e-aql-o-hosh mein aag laga gaya koi

yas ne kar diya tha kuchh dil ke mizaj ko khunuk
garmi-e-iltifat se aag laga gaya koi

aalam-e-be-khudi mein phir sajdon ki dhum-dham se
dair ke zarre zarre ko kaba bana gaya koi

'jauhar'-e-gham-nasib ko de ke payam-e-iltifat
ishq ke eatibar ko aur badha gaya koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close