kuchh is ada se mohabbat-shanas hona hai khushi ke bab mein mujh ko udas hona hai main aaj sog manana sikhane wala hun idhar ko aaen jinhen mahw-e-yas hona hai nashist-e-ruh mein pakizgi hai shart magar badan ki bazm mein bas khush-libas hona hai main khud hi hota hun apni nashat ka bais so mujh ko khud mere gham ki asas hona hai azal se meri hifazat ka farz hai un par sabhi dukhon ko mere aas-pas hona hai ye aashiqi tere bas ki nahin so rahne de ki tera kaam to bas na-sipas hona hai