kuchh is ada se wo mere dil-o-nazar mein raha ba-qaid-e-hosh bhi main aalam-e-digar mein raha khud apni zat pe mujh ko bhi ikhtiyar na tha tamam-umr main ek halqa-e-asar mein raha wo ishq jis ki zamane ko bhi khabar na rahi tere bichhadne se ruswa nagar nagar mein raha rah-e-hayat mein teri rifaqaten na sahi tera khayal to har-dam mujhe safar mein raha gham-e-zamana ne kis ko mafar hai ai 'nadir' sukun-e-qalb kahan ab kisi hunar mein raha