mere wajud ki gahraiyon mein rahta hai wo ek shakhs jo tanhaiyon mein rahta hai qarib-e-jaan wahi aata hai dastaken dene jo mere jism ki parchhaiyon mein rahta hai mera makan bhi wahshat-kada bana hua hai ajab tazad mere bhaiyon mein rahta hai wo jhut itni safai ke sath bolta hai ki us ka zikr bhi sachchaiyon mein rahta hai ek ishtial darun-e-wajud-e-insani dil-e-figar ki pahnaiyon mein rahta hai malamat-e-shab-e-hijran ke baad tera 'qamar' jahan bhi jata hai ruswaiyon mein rahta hai