kuchh is andaz se gham ki murattab dastan kar len hum un ko raaz-dan kar len wo hum ko raaz-dan kar len tabassum zer-e-lab nazren jhuki sharmae sharmae isi andaz se zer-e-nagin sara jahan kar len unhen malum kya jehd-o-amal kya hai kashakash kya zamin par baithe baithe jo tawaf-e-asman kar len sada aane lagi un ki hamare dil ke zakhmon se lahu ke qatre qatre ko ab un ki dastan kar len hamari aabla-pai ki azmat puchhte kya ho agar chahen to hum zarron ko rashk-e-kahkashan kar len koi nau-waridan-e-sehn-e-gulshan se zara kah de chaman ki patti patti ko ab apna mezban kar len jo raaz-e-husn se waqif na hon ai 'dard' duniya mein zara wo jurat-e-nazzara-e-dida-waran kar len