jaan kar hum ne jaan-e-wafa aap ko ek nazar hi mein dil de diya aap ko aaj yun dil ne di hai sada aap ko jaise apna bana hi liya aap ko dekh kar aaina aap sharma gae dekhta rah gaya aaina aap ko aap aur mai-kada waiz-e-mohtaram hum samajhte rahe parsa aap ko jaan-ba-lab tha magar ji utha dekh kar ab masiha kahun ya khuda aap ko chir kar sina kaise dikhaun bhala dil ka shiraaza bikhra hua aap ko kaun karta bhala aap ka samna kis mein jurat thi jo dekhta aap ko is qadar shoalagi 'dard' ashaar mein log kahte hain aatish-nawa aap ko