kuchh is ke siwa khwahish-e-sada nahin rakhte hum tujh se bichhadne ka irada nahin rakhte kab dil ki taraf laut ke aaenge safine sahra ke bagule gham-e-jada nahin rakhte kya khak simat paenge duniya ke bakhede hum log to daman bhi kushada nahin rakhte ud jaenge hum bhi waraq-e-khak se ek din rangon ke siwa koi libaada nahin rakhte har aankh ko hum saghar-o-mina nahin kahte har aankh pe hum tohmat-e-baada nahin rakhte qaem bharam apna hai asiri se wagarna hum taqat-e-parwaz ziyaada nahin rakhte