matlab ke liye hain na maani ke liye hain ye sher tabiat ki rawani ke liye hain wo chashm agar sehr-bayani ke liye hai ye lab bhi meri tishna-dahani ke liye hain jo mere shab-o-roz mein shamil hi nahin the kirdar wahi meri kahani ke liye hain ye dagh mohabbat ki nishani ke alawa ai ishq teri marsiya-khwani ke liye hain aati hai sukut-e-sahar-o-sham ki aawaz dar-asl to hum naql-e-makani ke liye hain jo rang gul o lala o nasrin se hain mansub wo rang ab aashufta-bayani ke liye hain