kuchh is pe sochna tha mashwara bhi karna tha muamle pe abhi tabsira bhi karna tha use bhi kahna tha apna khayal rakhne ko bichhadte waqt mujhe hausla bhi karna tha kisi ke nam ke din bhi bacha ke rakhne the aur ek zindagi sa silsila bhi karna tha wo waqiat bhi dil se mujhe bhulane the kahin kahin pe raqam saneha bhi karna tha kahan pe aa ke kadi silsile ki tut gai kisi se main ne kahin rabta bhi karna tha usi maqam pe aks apne main ne dafnae jahan pe nasb mujhe aaina bhi karna tha abhi to baat ka main kar rahi thi andaza pahunch ke tah mein mujhe faisla bhi karna tha nikal ke zindagi jaisi kadi haqiqat se mujhe to talkh sa ek tajraba bhi karna tha suni hain us ki abhi tak shikayaten main ne bayan apna koi masala bhi karna tha nikalna thi mujhe zindagi bhi mushkil se mukammal ab ke koi daera bhi karna tha