kuchh is qadar main KHirad ke asar mein aa gaya hun

kuchh is qadar main khirad ke asar mein aa gaya hun
simat ke sara ka sara hi sar mein aa gaya hun

zamin uchhaal chuki aasman ne thama nahin
main kaenat mein bilkul adhar mein aa gaya hun

ye zindagi bhi mere hauslon pe hairan hai
samajh rahi thi ki main us ke dar mein aa gaya hun

zara sa fasla main ne bhi tai kiya to hai
agar se do qadam aage magar main aa gaya hun

meri shanakht ki khatir chhapi meri taswir
na jite-ji sahi mar ke khabar mein aa gaya hun

udas ho gaya hun phir se ek zara hans kar
mein ghum-gham ke phir apne ghar mein aa gaya hun

na aa saka main tere hath ki lakiron mein
yahi bahut hai teri chashm-e-tar mein aa gaya hun

ye soch kar ki na dun nakhuda ko ye zahmat
utar ke kashti se khud hi bhanwar mein aa gaya hun

chhupa na paya kabhi khud ko apne sheron mein
main jo hun jaisa hun apne hunar mein aa gaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close