honton pe sukhan aaankhon mein nam bhi nahin ab ke is tarah wo bichhda hai ki gham bhi nahin ab ke khud ko dil-e-sarkash ne bhi rakkha na kahin ka jine pe raza-mand to hum bhi nahin ab ke tanha hain to darpesh hain khatraat-e-safar aur yun be-sar-o-saman yahan kam bhi nahin ab ke kya kahiye ki jo munh mein zaban bhi nahin apni afsos ki hathon mein qalam bhi nahin ab ke be-rahm judai ka sabab bhi nahin malum ik-guna talluq ka bharam bhi nahin ab ke kya jaane 'mujibi' dil-e-qatil mein hai kya aaj mahzar mein koi jurm raqam bhi nahin ab ke