kuchh is tarah se tera gham diye jalata tha ki khak-e-dil ka har ek zarra jagmagata tha isi liye na kiya talkhi-e-jahan ka gala tera khayal pas-e-parda muskuraata tha na yaad rakhta tha mujh ko na bhul jata tha kabhi kabhi wo mujhe yun bhi aazmata tha har aaina tha sarapa hijab mere liye main apne aap ko dekhun nazar wo aata tha nazar chura ke wo guzra qarib se lekin nazar bacha ke mujhe dekhta bhi jata tha ghazal ke lahje mein hoti thi guftugu us se wazahaton mein bhi ibham rah hi jata tha wahan bhi saya-e-diwar us ka yaad raha khud apna saya jahan sath chhod jata tha udas kamra mahakta tha kis ki yaadon se wo kaun shakhs tha kya tha kahan se aata tha chamakte the dar-o-diwar aainon ki tarah in aainon mein koi aks muskuraata tha ye khwab hi meri tanhaiyon ka hasil tha ye khwab hi meri tanhaiyan badhata tha