kuchh itna KHauf ka mara hua bhi pyar na ho

kuchh itna khauf ka mara hua bhi pyar na ho
wo e'tibar dilae aur e'tibar na ho

hawa khilaf ho maujon pe ikhtiyar na ho
ye kaisi zid hai ki dariya kisi se par na ho

main ganw laut raha hun bahut dinon ke baad
khuda kare ki use mera intizar na ho

zara si baat pe ghut ghut ke subh kar dena
meri tarah bhi koi mera gham-gusar na ho

dukhi samaj mein aansu bhare zamane mein
use ye kaun batae ki ashk-bar na ho

gunahgaron pe ungli uthae dete ho
'wasim' aaj kahin tum bhi sangsar na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close