kuchh kaam to aaya dil-e-nakaam hamara tuta hai to tuta hi sahi jam hamara jitna ise samjha kiye begana-e-tasir itna to na tha jazba-e-dil kham hamara ye kaun maqam aaya qadam uthte nahin hain manzil pe thaharna to na tha kaam hamara hum jaise tadapte hain tadapte rahe din raat kuchh kar na saki gardish-e-ayyam hamara ye gardish-e-paimana hai ya gardish-e-taqdir saqi kisi saghar pe to ho nam hamara phulon ki hansi bais-e-takhrib-e-chaman hai kanton pe nahin hai koi ilzam hamara hum gardish-e-saghar ko nigahon mein liye hain dekhe koi husn-e-talab-e-jam hamara aaghaz-e-mohabbat hi ka eajaz-e-karam hai dil ho gaya begana-e-anjam hamara andaz tadapne ka judagana hai lekin hai koi 'figar' aur bhi hamnam hamara