kuchh kahe jata tha gharq apne hi afsane mein tha marte marte hosh baqi tere diwane mein tha hae wo khud-raftagi uljhe hue sab sar ke baal wo kisi mein ab kahan jo tere diwane mein tha jis taraf jae nazar apna hi jalwa tha ayan jism mein hum the ki wahshi aaina-khane mein tha boriya tha kuchh shabina mai thi ya tute subu aur kya is ke siwa maston ke virane mein tha hanste hanste ro diya karte the sab be-ikhtiyar ek nai tarkib ka dard apne afsane mein tha sun chuke jab haal mera le ke angdai kaha kis ghazab ka dard zalim tere afsane mein tha dun ki leta to hai zahid magar main kya kahun muttaqi saqi se badh kar kaun mai-khane mein tha pas tha zanjir tak ka tauq par kya munhasir wo kisi mein ab kahan jo tere diwane mein tha der tak main taktaki bandhe hue dekha kiya chehra-e-saqii numayan saf paimane mein tha hae parwane ka wo jalna wo rona shama ka main ne roka warna kya aansu nikal aane mein tha khud-gharaz duniya ki haalat qabil-e-ibrat thi 'shad' lutf milne ka na apne mein na begane mein tha 'shad' kuchh puchho na mujh se mere dil ke dagh ko timtimata sa charagh ek apne virane mein tha