kuchh kahun kahna jo mera kijiye chahne wale ko chaha kijiye hausla tegh-e-jafa ka rah na jae aaiye khun-e-tamanna kijiye fitna-e-roz-e-qayamat hai wo chaal aaj wo aate hain dekha kijiye kis ko dekha un ki surat dekh kar ji mein aata hai ki sajda kijiye fitne sab barpa kiye hain husn ne meri ulfat ko na ruswa kijiye hur-e-jannat un se kuchh badh kar sahi ek dil kya kya tamanna kijiye kar diya hairat ne mujh ko aaina be-takalluf munh dikhaya kijiye josh mein aa jae rahmat ki tarah ek ek qatre ko dariya kijiye nam agar darkar hai misl-e-nagin ek ghar mein jam ke baitha kijiye mil chuke ab milne wale khak ke qabr par ja ja ke roya kijiye kaun tha kal bais-e-be-pardagi aap mujh se aaj parda kijiye kal ki baaton mein to kuchh narmi si hai aaj phir qasid rawana kijiye rah takte takte 'asi' chal basa kyun kisi se aap wada kijiye