gham-e-afaq mein aarif agar karwat badalta hai syahi se qalam ki nur ka minar dhalta hai basirat ho to har zarra tajalli-zar-e-sina hai nigah tarik ho to aaina zulmat ugalta hai huzur-e-husn hoti hai kise dekhen pazirai sada ibrat-asar dastur-e-haq din-raat chalta hai khuda-agah ka har har nafas dars-e-tayaqqun hai haya-begana takhribi hamesha chaal chalta hai masaf-e-razm se hargiz na ja aaina-khanon mein khuda ka sher-dil aafat ke qalib mein dhalta hai nigarish maqsad-e-takhliq-e-barg-e-gul pe hai lekin kise hai tab-e-nazzara charagh-e-tur jalta hai khulus-e-dil se banta hai hisar-e-nar bhi jannat ba-fazl-e-haq zamin-e-shor se zamzam ubalta hai mazaq-e-sarfaroshi khanqahon se hua rukhsat magar talwar ki mehrab mein sar-baz palta hai zamana mast-e-ishrat hai takalluf ke jahannam mein haram ka pasban but-khana-e-azar mein palta hai luta dete hain almas-o-guhar sahib-nazar hans kar sitare dubte hain to koi suraj nikalta hai bada dana hai diwana kahin thokar nahin khata andheri raat hai lekin diya to dil ka jalta hai sadaqat se lahak jate hain tan-sazon ke but-khane ghazal ki aag se faulad ka paikar pighalta hai tasarruf mein shabistan-e-jahan hai ishq-o-masti ke zamana so chuka hai faqr ka jadu to chalta hai bahut dushwar hai chalna siraat-e-din-e-fitrat par khuda ki justuju mein har nafas shoala ugalta hai tumhaari azmat-e-dastar to taslim hai naseh kaleja rah-e-haq mein sher mardon ka dahalta hai ye khatra hai na le dube parastish tan ki murshid ko charagh islam ka isar-o-qurbani se jalta hai dil-e-nazuk pe harf aae na un 'bebak' maston ke muqaddar jin ki thokar se zamane ka badalta hai