kuchh kam nahin hain shama se dil ki lagan mein hum fanus mein wo jalti hai yan pairahan mein hum hain tufta-jaan mufaraqat-e-gul-badan mein hum aisa na ho ki aag laga den chaman mein hum gum honge bu-e-zulf-e-shikan-dar-shikan mein hum qabza karenge chin ko le kar khutan mein hum gar ye hi chhed dast-e-junun ki rahi to bas mar kar bhi sina chaak karenge kafan mein hum mahw-e-khayal-e-zulf-e-butan umr bhar rahe mashhur kyun na hon kaho diwana-pan mein hum honge aziz khalq ki nazron mein dekhna gir kar bhi apne yar ke chah-e-zaqan mein hum chhakke hi chhut jaenge ghairon ke dekhna aa nikle han kabhi jo teri anjuman mein hum ai andalib dawa-e-behuda par kahin ek aadh gul ka munh na masal den chaman mein hum aashiq hue hain parda-nashin par bas is liye rakhte hain soz-e-ishq nihan jaan o tan mein hum zalim ki sach masal hai ki rassi daraaz hai misdaq us ka pate hain charkh-e-kuhan mein hum anqa ka 'aish' nam to hai go nishan nahin yan wo bhi kho chuke hain talash-e-dahan mein hum