dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata jahan meri rasai hai mera saya nahin jata mere tute hue pa-e-talab ka mujh pe ehsan hai tumhaare dar se uth kar ab kahin jaya nahin jata mohabbat ho to jati hai mohabbat ki nahin jati ye shoala khud bhadak uthta hai bhadkaya nahin jata faqiri mein bhi mujh ko mangne se sharm aati hai sawali ho ke mujh se hath phailaya nahin jata chaman tum se ibarat hai bahaaren tum se zinda hain tumhaare samne phulon se murjhaya nahin jata mohabbat ke liye kuchh khas dil makhsus hote hain ye wo naghma hai jo har saz par gaya nahin jata mohabbat asl mein 'makhmur' wo raaz-e-haqiqat hai samajh mein aa gaya hai phir bhi samjhaya nahin jata