kuchh khabar nama-bar nahin aati koi surat nazar nahin aati thak gae hum talash karte hue apni manzil nazar nahin aati bisri yaadon ka hai jo dil mein hujum raat thahri sahar nahin aati jab khudi ka khumar ho jae khud-sari rah par nahin aati aks-bar-ab hai nazar lekin surat-e-chaaragar nahin aati dard-o-gham ki fughan bhi hai khamosh ye sada ab idhar nahin aati koi 'sadiq' ko dhundne nikle us ki koi khabar nahin aati