kuchh khak se hai kaam kuchh is khak-dan se hai jaana hai dur aur guzarna yahan se hai dil apni raegani se zinda hai ab talak aabaad ye jahan bhi ghubar-e-jahan se hai bas khak pad gai hai badan par zamin ki warna mushabahat to meri aasman se hai dil bhi yahi hai waqt bhi manzar bhi nind bhi jaana kahan hai khwab mein jaana kahan se hai ek dastan qadim hai ek dastan daraaz hai sham jis ka nam wo kis dastan se hai wabasta mez-posh ke phulon ki zindagi mehman se hai mez se hai mezban se hai