main jahan tha wahin rah gaya mazarat ai zamin mazarat ai khuda mazarat kuchh batate hue kuchh chhupate hue main hansa mazarat ro diya mazarat khud tumhaari jagah ja ke dekha hai aur khud se ki hai tumhaari jagah mazarat jo hua jaane kaise hua kya khabar jo kiya wo nahin ho saka mazarat main ki khud ko bachane ki koshish mein tha ek din main ne khud se kaha mazarat mujh se girya mukammal nahin ho saka main ne diwar par likh diya mazarat main bahut dur hun sham nazdik hai sham ko do sada shukriya mazarat