kuchh log ji rahe hain khuda ke baghair bhi sannate gunjte hain sada ke baghair bhi mitti ki mumlikat mein numu ki zakat par zinda hain ped aab-o-hawa ke baghair bhi ye nafraton ke zard alaw na honge sard phailegi aag tez hawa ke baghair bhi rabt-o-talluqat ka mausam nahin koi barish hui hai kali ghata ke baghair bhi duniya ke kar-zar mein bachchon ko maon ne rukhsat kiya hai harf-e-dua ke baghair bhi khauf-e-khuda mein umr guzari to kya mila kuchh din jiyenge khauf-e-khuda ke baghair bhi