mujh se kahte ho kya kahenge aap jo kahunga to kya sunenge aap kya bayan-e-shab-e-firaq karen na suna hai na ab sunenge aap nahin khulta sabab tabassum ka aaj kya koi bosa denge aap naseha aap khud hi nadan hain kya nasihat mujhe karenge aap dam-e-akhir ye tha mere lab par kis pe jaur-o-sitam karenge aap zulm ki kuchh bhi intiha hogi ya hamesha sitam karenge aap muntazir hain tumhaare muddat se dekhiye hum se kab milenge aap dard na-gufta-ba ho jab saqi wo sunen bhi to kya kahenge aap