kuchh log jo sawar hain kaghaz ki naw par tohmat tarashte hain hawa ke dabaw par mausam hai sard-mehr lahu hai jamaw par chaupal chup hai bhid lagi hai alaw par sab chandni se khush hain kisi ko khabar nahin phaha hai mahtab ka gardun ke ghaw par ab wo kisi bisat ki fehrist mein nahin jin manchalon ne jaan laga di thi daw par suraj ke samne hain nae din ke marhale ab raat ja chuki hai guzishta padaw par gul-dan par hai naram sawere ki zard dhup halqa bana hai kanpti kirnon ka ghaw par yun khud-farebiyon mein safar ho raha hai tai baithe hain pul pe aur nazar hai bahaw par mausam se saz ghairat-e-gulshan se be-niyaz hairat hai mujh ko apne chaman ke subhaw par kya daur hai ki marham-e-zangar ki jagah ab chaara-gar sharab chhidakte hain ghaw par tajir yahan agar hain yahi ghairat-e-yahud pani bikega khun-e-shahidan ke bhaw par pahle kabhi riwaj bani thi na be-hisi nadim bigad par hain na khush mein banaw par har rang se payam utarte hain ruh mein padti hai jab nigah dhanak ke jhukaw par 'danish' mere sharik-e-safar hain wo kaj-mizaj sahil ne jin ko phenk diya hai bahaw par