wo maut ka manzar jo tha din raat wahi hai munh se na kaho surat-e-haalat wahi hai lafzon ke ulat pher se badlega na matlab imdad jise kahte ho khairaat wahi hai gul karna charaghon ka to ek khel hai us ka wazeh hai pas-e-parda-e-zulmat wahi hai zanjir mein mausam ki hain jakde hue din raat sardi wahi garmi wahi barsat wahi hai hum ne to isi tarah guzare hain shab-o-roz apne liye har din wahi har raat wahi hai kuchh mere hi manind hai tarz-e-sukhan us ka andaz-e-ishaaraat-o-kinayat wahi hai donon hi taraf aag barabar ki hai 'mohsin' donon hi taraf garmi-e-jazbaat wahi hai