kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise aaj tum aur hi taswir-e-haya ho jaise yun guzarta hai teri yaad ki wadi mein khayal kharzaron mein koi barhana-pa ho jaise saz nafrat ke taranon se bahalte nahin kyun ye bhi kuchh ahl-e-mohabbat ki khata ho jaise waqt ke shor mein yun chikh rahe hain lamhe bahte pani mein koi dub raha ho jaise kaisi gul-rang hai mashriq ka ufuq dekh nadim nadi ka khun raat ki chaukhat pe baha ho jaise ya mujhe wahm hai sunta nahin koi meri ya ye duniya hi koi koh-e-nida ho jaise bahr-e-zulmat-e-junun mein bhi nikal aai hai rah ishq ke hath mein musa ka asa ho jaise dil ne chupke se kaha koshish-e-nakaam ke baad zahr hi dard-e-mohabbat ki dawa ho jaise dekhen bach jati hai ya dubti hai kashti-e-shauq sahil-e-fikr pe ek hashr bapa ho jaise