kuchh mohtasibon ki khalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai hum baada-kashon ke hisse ki ab jam mein kam-tar jati hai yun arz-o-talab se kam ai dil patthar dil pani hote hain tum lakh raza ki khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai bedad-garon ki basti hai yan dad kahan khairaat kahan sar phodti phirti hai nadan fariyaad jo dar dar jati hai han jaan ke ziyan ki hum ko bhi tashwish hai lekin kya kije har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai ab kucha-e-dil-bar ka rah-rau rahzan bhi bane to baat bane pahre se adu talte hi nahin aur raat barabar jati hai hum ahl-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subh-e-watan yaadon se moattar aati hai ashkon se munawwar jati hai