kuchh pahle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha kya raushan ho jati thi gali jab yar hamara guzre tha the kitne achchhe log ki jin ko apne gham se fursat thi sab puchhen the ahwal jo koi dard ka mara guzre tha ab ke khizan aisi thahri wo sare zamane bhul gae jab mausam-e-gul har phere mein aa aa ke dobara guzre tha thi yaron ki bohtat to hum aghyar se bhi bezar na the jab mil baithe to dushman ka bhi sath gawara guzre tha ab to hath sujhai na dewe lekin ab se pahle to aankh uthte hi ek nazar mein aalam sara guzre tha