kuchh mudawa na koi chaara hai ishq ne har kisi ko mara hai gham salamat rahe khudawanda zindagi ka yahi sahaara hai maut aa jae to malul na ho bahr-e-gham ka yahi kinara hai barha aap ke tasawwur mein waqt guzra hua guzara hai dil diya hum ne go qusur is mein kuchh hamara hai kuchh tumhaara hai is uchatti nigah ke qurban dubne ko mujhe ubhaara hai qahr jab tak tera qubul na ho lutf bhi tera nagawara hai husn walo khata muaf magar ishq jita hai husn haara hai ai ajal sirf lamha bhar ruk ja phir gham-e-hijr ne pukara ye ghata ye hawa ye abr-e-sahar koi samjhe to ek ishaara hai