tumhaara zauq-e-parastish mujhe aziz magar main is zamin ki mitti mujhe khuda na kaho tumhaare sath agar do-qadam bhi chal na sakun to khasta-pa hun mujhe mujrim-e-wafa na kaho ye ek pal ki dhadakti hayat bhi hai bahut tamam-umr ke is rog ko bura na kaho is ek khauf se lab si liye tumhaare huzur ki harf-e-shauq ko izhaar-e-muddaa na kaho ye be-rukhi ka gila mujh se pahle khud se karo use nigah ka yak-tarfa faisla na kaho guzarte waqt ke marham se bhar na jae kahin is ek zakhm ko chahat ki intiha na kaho main ek zinda haqiqat hun ek pal hi sahi tumhaara aks hun tum to mujhe fana na kaho