kuchh na idhar hai ne udhar tu hai jis taraf kijiye nazar tu hai ikhtilaf-e-suwar hain zahir mein warna mani-e-yak-digar tu hai hai jo kuchh tu so tu hi jaane hai koi kya jaane kis qadar tu hai kya mah-o-mahr kya gul-o-lala jab main dekha to jalwa-gar tu hai kis se tashbih dijiye tujh ko sare khuban se khub-tar tu hai wo to 'bedar' hai ayan lekin us ke jalwa se be-khabar tu hai