kyun na le gulshan se baj us arghawan-sima ka rang gul se hai khush-rang-tar us ke hinai pa ka rang jun-hi munh par se utha di bagh mein aa kar naqab ud gaya rang-e-chaman dekh us rukh-e-zeba ka rang sar pe dastar-e-basanti bar mein jama qurmuzi khub gaya dil mein hamare us gul-e-rana ka rang aaj saqi dekh tu kya hai ajab rangin hua surkh mai kali ghata aur sabz hai mina ka rang de tu is abr-e-siyah mein jam jaldi se mujhe dil bhara aata hai mera dekh kar sahba ka rang jis taraf dekhun hun ab 'bedar' tere ashk se ho raha hai surkh yaksar daman-e-sahra ka rang