kuchh na kuchh hoga meri mushkil ka hal furqat ki raat

kuchh na kuchh hoga meri mushkil ka hal furqat ki raat
tum na aaoge to aaegi ajal furqat ki raat

aa gaya kya nazm-e-hasti mein khalal furqat ki raat
ruk gaya kyun daur-e-gardun ka amal furqat ki raat

ho rahi hain sham se sakin ghadi ki suiyan
panw phailata hai kya ek ek pal furqat ki raat

sard sard aahon se yun aansu mere jamte gae
ho gaya tamir ek moti-mahal furqat ki raat

kuchh nahin khulta ki aakhir is qadar lambi hai kyun
wasl ke din ka hai jab radd-e-amal furqat ki raat

zindagi bhar ye bala pichha na chhodegi mera
aaj jaegi to phir aaegi kal furqat ki raat

subh ka munh dekhna mere muqaddar mein na tha
mera andesha na tha kuchh be-mahal furqat ki raat

dard mein dube hue hain shahr sare ai 'wafa'
kis qayamat ki kahi tu ne ghazal furqat ki raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close