mohabbat aur mohabbat ka shajar baqi rahega

mohabbat aur mohabbat ka shajar baqi rahega
chale jaenge hum lekin safar baqi rahega

kisi dastak ki kanon mein sada aati rahegi
koi naqsh-e-qadam dahliz par baqi rahega

abhi se kyon bujha den apne dil ki sari shamen
sahar hone tak imkan-e-sahar baqi rahega

badha aata hai sail-e-be-yaqini har taraf se
to is sailab mein kya mera ghar baqi rahega

girega ek din sar par ye nila aasman bhi
duaon mein bhala kab tak asar baqi rahega

jo tum chaho to is bartan ko chakna-chur kar do
magar phir bhi nishan-e-kuza-gar baqi rahega

abhi ye faisla mahfuz hai lauh-e-ufuq par
kategi kis ki gardan kis ka sar baqi rahega

jise be-maslahat be-khauf ho kar main ne likkha
wahi bas ek harf-e-mo'tabar baqi rahega

mila hai tut kar jo muddaton ke baad 'ashfaq'
usi se phir bichhad jaane ka dar baqi rahega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close