kuchh na kuchh silsila hi ban jata ret par naqsh-e-pa hi ban jata kis ne kaghaz pe likh diya mujh ko is se behtar sada hi ban jata zindagi ki radif mushkil thi main faqat qafiya hi ban jata ashk kuchh der ko hi tham jate kaam bigda hua hi ban jata kashtiyan to khuda chalata hai kash main nakhuda hi ban jata kya mila mujh ko nekiyon ka sila achchha hota bura hi ban jata manzilon ki kise tamanna thi bhid mein rasta hi ban jata ab to bas ye hawa ki koshish hai ek baadal ghana hi ban jata main bhi chehra agar hata leta aaina aaina hi ban jata hum zara aur sabr kar lete dard shayad dawa hi ban jata hum se diwane gar nahin hote shahr ye hadsa hi ban jata