kuchh nahin duniya badal jaane ki gham-KHwani mujhe

kuchh nahin duniya badal jaane ki gham-khwani mujhe
han magar khud ke taghayyur pe hai hairani mujhe

dasht se lauta to main hun ek bagule ka khamir
dekhti hai kis nazar se ghar ki virani mujhe

ek zamane se su-e-bazar mein nikla nahin
dars deti hai bahut yusuf ki arzani mujhe

sun liye bikhre hue gham main ne raaton ke tamam
hae ai duniya abhi tak tu nahin pahchani mujhe

ahl-e-'anjum' ek din wo bhi zamana aaega
ras aaegi zamin-e-fan ki sultani mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close